Tuesday, 27 August 2013

Tasawur13

Ajeeb o gareeb kehfiyaat say do char hona para
        Akhir kar mujhay bhi bemar hona para.
              Sufi vs Shaitan
   Aj ka sufi to goya shaytan hai
Insan k roop me goya hayvan hai.
                             Peer vs Faqeer
Ameran nu galay landay o kadi gareeb nu galay laya nai
      Kyun kadi saday val vaikh k tusan muskuraya nai?
Kis kisam k jhutay makaar ayar log ho
     Batil k liye har vaqt tayar log ho.
Ye khushi ke bat nahi tayray amaal sayah hain
 Ab me kya bataon tayray amaal kya kya hain.
     Kya amil kya kamil
Dono burayon me shamil.
             AntiShrine Abad 
Ab na lay sahara qabar parasti ka
Ab mat kar muzahira bad masti ka.
Kahan qabar kahan mazar
Kahan naqad kahan udhar.
Moot aik atal haqeqat hai tasleem kar lay
   Urs ko chor thora khuda say dar lay.
Na deobandi ban na Sunni
   Tun ban aik achi munni.
Kab say gyarvin mana raha hai kabhi gyarvin vala to mana nai
      Tun bhi bad bakt hi raha kabhi apnay khuda ko jana nai.
    Meri larai tujh say nahi fazool rasmon say hai
Khuda ke qasam nahi khata jhuti qasmon say hai.
    Tayray tasavuf ka hai ye haal
Tayray log ban rahay hain qaval.
Wird wazaif hi ban jatay hain talib k galay ka tooq
Islam me kya dakhil karay ga logon ko joq dar joq.
          Na kisi wali ka na shaheed ka hai
Pehlay nabiyon ka phir martaba siddiq ka hai.
Khatam na kar sakin auliya ke kitabain bay hodgi
     Daikh roz baroz barhati ja rahi hai Aloodgi.
Shia sunni deobandi kya hain?
    Na safaid na sayah hain.
 Na me MALki hun na shafi
Mujhay day do tum log mafi.
Na me hanbli hun na hanfi
Na me masbat na me manfi.



               Sain Baglol vs Tasawuf 
Tayra tasawuf shor sharaba aur qawali
      Batain bari bari andar say khali.
Tasavuf tayra nachna aur gana
     Wajd me ana dhol bajana.
 Bhangi aur charsi tayray faqeer
Sharabi aur lafandar tayray peer.
Nadan jahil tayray faqeer
Thag lutayray tayray peer.
Nadan tayray baraish
Anjan tayray darvaish.
Sutay laganay valay tayray amil
 Jhot bolnay valay tayray kamil.
Kya tayray peer kya faqeer
     Dono hi nafs k aseer.
      Na such sehta hai na such kehta hai
Ye kaisa musalman hai kyun chup rehta hai?
        Matam aur jalsay jaloos nahi Islam
Ye nahi Hazrat Muhammad(s.a.w)ka paigam.
Shia sunni aur deobandi khatakar
  Ye kyun nahi hotay sharamsar?
      Auliya naik thay to tun bhi naik ban
Tujhay kis nay kaha teen teen bachay jan?
Jitnay bhi hain sahaba saray hain qabilay ehtaram
           Mat laga kisi bhi sahabi par koi ilzam.
Phol phainkna agarbatiyan aur charag jalana
         Ye kaisa hai tayra Islam phaylana?
Cigarette sutay charas aur afeem tayre harkatain
        Aisay me kaisay hasil hon ge barkatain?
Shariyat hai ras malai
Tun kha mayray bhai.
Kufria tayray kalimaat
Fazool tayray tavezaat.
  Kahan faqar aur kahan ye aj k lutayray peer
Jo kehtay hain khud ko apnay mun say faqeer.
Kan khol kar sun meri ye bat
     Na tun bara na teri zat.
Anjan tayray darvaish
Nadan tayray baraish.
   Mujhay idhar udhar k na day havalay
Kharab salan na baich laga kar masalay.
Jhutay dagabaz peer tayray
    Lakeer k faqeer tayray.
        Kya amil aur kya kamil
Dono galat harkaton me shamil.
Shola noor ka tasawur hi ibtada hai
Shola noor ka tasawur hi intaha hai.
Qabar parasti urooj par ho jahan
Kon sunta hai zindon ke wahan?
Tujhay kya huva musalman kyun sunta hai qavaliyan?
          Kyun itna gir gaya kyun dayta hai galiyan?
Mubtala hai tun kharafaat me
  Apni banai huvi bidaat me.
Me ajiz gunehgar banda hun
Andar bahar say ganda hun.
Sahaba do eidain manatay thay ya teen?
     Sheen k bad phir say nahi sheen.
 Na tayray amil achay na kamil
Dono galat harkaton me shamil.
Kyun lambi tarz lagata hai tun?
Kyun apni jaib garmata hai tun?
Tun kis mun say kehta hai khud ko mard?
Tun saaf na kar saka apnay mulk ke gard.
Tayre azmat k paymanay bhi ho chukay kharab
   Qabar ke lambai churai say lagata hai hisab.
Kyun apni abadi barha rahay ho tum?
     Tabahi ke taraf ja rahay ho tum.
     Tun sir say paon tak fasiq hai
Phir kaisay kehta khud ko ashiq hai?
Zara se bhi sharam tujh me hoti musalman
   To phir tun na kerta dosron ka nuqsan.
   Haq-o-batil ko milanay valay tayray peer
Talibon ko zehar pilanay valay tayray faqeer.
               Sain Baglol vs Sects
       Tun door reh firqon say Abad
Ye hi hain muasharay me vajae fasad.
Jitnay bhi firqay hain fasad
    Aik bhi nahi hai Abad.
 Nooray vilayat ism Allah
Sharfay nihayat ism Allah.
  Dukandari bana rakhi hai peeron nay
Loot maar macha rakhi hai faqeeron nay.
Zahirana shan o shokat rakhtay hai tayray peer
     Bay niyaz kyun nahi hain tayray faqeer?
                     Beard vs Muslim
Dari rakh kar bhi tun nay cigarette hi lagaya
 Dari say kuch nahi hota ye tun nay bataya.
     Vajd k nam par masjid me ochaltay hain jo
Shayad aisay log jagtay huvay bhi gaAy hain so.
                   Rxxx vs Girl
Rasmay takaluf hi sahi hath milati jao
  Jatay huvay rx ko galay lagati jao.
   Lambi lambi chortay hain tayray faqeer
Kitabon k pechay doortay hain tayray peer.
Purpose of Fixed Gazing(Ain Mashaq)
This exercise acts on the centers of smell and sight;
it stimulates the nervous system.
It is said to control the ciliary(blink)reflex and stimulate the pineal gland.



  















  
  Soraj taloh hi na ho to badal ka kya qasoor?
Shaikh faiz hi na day to talib kya karay hazoor?
Daryae vahdat ka tasawur hai kamal
  Sholae noor nikal daikh lay jamal.
Side Effects of Ain Mashaq Tasawur Ism Allah.
1.Hallucination
2.Headache
3.Blurred Vision
4.Dizziness
5.Drowsiness
6.Negative Thoughts
7.Stress
8.Anxiety
9.Black Hole No Turning Back.
Naqsh sunehri ho kar na chamkay to khatray ke alamat hai
    Tab tak tujhay faida hai jab tak tayra iman salamat hai.
Hath milana zaroori nahi mun say salam kar
     Har taraf Aam islam ka ye paigam kar.
Daikhay bagair shahadat kaisi
 Insaniyat bagair ibadat kaisi.
Sufiyon ke kitabon say hoga tayra nuqsan
    Ye ban jain ge tayray liye vabalay jan.
Tayray molvi sunatay hain idhar udhar k qisay
  Tayray sufiyon nay kar diye kalimay k hisay.
     Mat kar sufiyon k tareqon say zikr azkaar
Sufiyon k banaAy huvay tareqay hain bay kaar.
  Sahabi to nahi thay kitabi
Auliya nay paida ke kharabi.
        Health vs Human
Sehat gai to gaya sara jahan
Aisay me kya karay ga insan?
      Faida nahi hota kar k wird wazaif
Mohabat k liye behtar hain tohfay tahaif.
Tayray faqeeron ko nahi koi saleqa
  Batatay hain zikr ka galat tareqa.
Faqeeron nay bana rakha hai zikr ka tareeqa ajeeb
      Talib k liye yehi tareeqa ban jata hai raqeeb.
Tahqeeq say dartay hain tayray faqeer
Roshan zameer kyun nahi tayray peer?
Sain baglol zehar ko kabhi zindagi nahi keh sakta
   Auliya ke galat baton par chup nahi reh sakta.
 Zehar pila kar kehtay hain peer faqeer yahan
Ye jamay shahadat hai zindagi milay ge vahan.
Insaniyat chor kar lahoot k banay phirtay hain shahbaz
Hamaray Auliya apni kitabon par kertay hain bohat naz.
Insaniyat kehtay hain kisay ye jantay nahi Auliya
  Khud say barh kar kisi ko mantay nahi Auliya.
    Kisi ko kya ilzam dayna jab apni qismat hi kharab ho
Dosron ko kya badbu ka kehna jab apni boseda jurab ho.
Sabir piya nay masjid girai Imam Hussain nay insaniyat bachai
              Yehi farq hota hai aik wali me aur Sahabi me.
Shahbaz qalandar nay qila ultaya Imam Hussain nay deen bachaya
                Yehi farq hota hai aik wali me aur sahabi me.
        Kahin masjid girai ja rahi hai to kahin bevi jalai ja rahi hai
Sabir piya say pocho ye konsay Islam ke tasveer dikhai ja rahi hai?
Kya Baraysageer pak-o-hind me Islam Auliya nay phaylaya hai?
            Jaisa phaylaya hai vaisa hi me nay dikhaya hai.
Tujhay kya kya bataon me sufia k kertoot
   Me nay to paya hai sufiyon ko tagoot.
Peeri faqeeri ka tofan thamnay ka nam hi nahi lay raha
Kyun k koi musalman Lailaha ke azan hi nahi day raha.
Kahan Sahaba ke ibadat
 Kahan Auliya ke riyazat.
        Na ye insaniyat hai na ye ruhaniyat
Qabar ko chomna aur chatna hai nafsaniyat.
Qabar parast tayray peer
Nafs parast tayray faqeer.
     Kya amil aur kya kamil
Dono nafs parasti me shamil.
Kya Auliya ke kitabain hain umat par ehsan?
      Ye to kar rahi hain logon ka nuqsan.
Kahan wo azeem sahabi aur kahan ye tayray auliya kitabi
     Jo na galti mantay hain na door kertay hain kharabi.
Na faqar chahta hun na masti
 Me chahta hun apni hi hasti.






Bay Khudi = Wrong Turn vs Challenge
 Hai koi Mard?
Jo sahay dard.
Dhai ghantay tak ankhon ko tehrana
   Goya bay khudi ko ghar bulana.
Dhai ghantay tak ankhon ko tehrana
Goya bay khudi ka jhanda lehrana.
Saday teen ghantay tak ankhon ko tehrana
     Goya marnay say pehlay hi mar jana.
Kya tayray peer ko maloom hai bay khudi kya hai?
   Kya wo bata sakta hai safaid hai ya sayah hai?
     Bay khudi ko pa kar jan jaAy ga
Bay khudi kuch bhi nahi man jaAy ga.
  Bay khudi khudi ke moot hai gafil
Khudi ko qaim rakh aur parh navafil.
    Kisi kam na Aay ge wird aurad ke parhai
Tangon me zoor ho ga to charhay ga charhai.
Apni banai huvi shariyat ko tun kehta hai Islam
Siray say hi galat hai maulana tayra ye paigam.
Bay Khudi ke rah na chal
Ye nahi hai maslay ka hal.
      Dunya dozak bana kar kon se janat chahta hai?
Ain Mashaq Tasawur Ism Allah say kyun ghabrata hai?
    Pakistan me phayla rakha hai gand
Kaisay kehta hai tun khud ko aqalmand. 
Nadan ustad talib ko kalay konvay me dhakailta hai
     Aisa kar k wo talib ke zindagi say khailta hai.
Ashiq na ishq ishq kertay hain na kehtay hain
 Ashiq to wo hain baglol jo chup rehtay hain.
      Doray hazir ka javan to daikh
Cigarette peta huva shatan to daikh.
Ism Allah Roshan Na Honay Ke Vajohat Darj Zail Hain.
1.Sheikh ke tavajo ka na milna.
2.Galat tareqay say tasawur kerna.
3.Salahiyat ka na hona.
4.Nazar ka kamzor hona.
5.Rajat hona.
Note.Rijat honay par talib tasawur chor day.
Aksar vahmi log dosron ko vahmi kehtay hain.Sain Baglol.
Kaisay kehta hai tun khud ko ashiqay rasool(s.a.w.)
      Na tujh me nazm o zabt na koi asool.
Na tun momin na tun muslim na tun musalman
   Mujhay ye bata kya tun hai aik acha insan?
Rijat honay par talib shaikh ka mohtaj ho jata hai
     Aisi halat me talib kuch bhi na kar pata hai.
    Muft khor tayray peer
Kanjos hain tayray ameer.
   Kya peer aur kya faqeer
Talibon k paison par ameer.
Faqar faqeer ko kya lagao gadi say
  Kutay ko lagao hota hai hadi say.
Na aqal tikhanay na dimag darust
   Wali hain faiz daynay me sust.
Kafiron ko chor pehlay khud ko musalman kar
    Dosron ko chor pehlay khud ko insan kar.
Zaida paidaish say zaida amvat janam latin hain.Sain Baglol.
 Daikh apni hast
Tun qabar parast.
Achai aur samjhdari par mabni taleem insan ka zevar hai.Bhalu Shah.
     Brake fail ho to race nahi lagani chahiye
Wasail kam hon to abadi nahi barhani chahiye.
       Kagaz ki kashti me savar ho kar log haj kernay chalay
Kagaz k tukron par dosron ki zahanat ko judge kernay chalay.
Tayray istikharay nay to tujhay seda honay ka tareqa bhi na bataya
            Tun ulta tha ulta hi raha aur tun nay tasla bhi ultaya.
Kutay bhonktay bhi hain pertay bhi hain
    Dosray kuton k sath lartay bhi hain.
Ism Allah ankhon k zariye zehan me otaar
   Ab to chor day mun me rakhni nasvar.
Mujhay shanti nagar me shanti say rehnay do
   Kuch zaida na sahi thora such kehnay do.
Visit www.Tasawur14.blogspot.com
































   
 
   
   


 
   
   
  



No comments:

Post a Comment